1) Agar office ke namaaz room me camera laga ho to ladies ki namaaz wajib hai?

2) Us camera ka live video boss ke computer screen pe hota hai, or boss ke paas bahot log aate hai, fir b wajib hai?

3) Apne shia kaum me aisa hai ke ladies k wazu karne ke baad kisi na mahram ki nazar nahi parna chhaiye warna wazu toot jata jata hai. To aise me namaz qubool hoga ke nahi camere ke samne

1) Ji namaz wajib hai. Sath mai Islami hijab ki riaayat jaruri hai

2) Jab Islami hijab ke sath Ho to koi haraj Nahi hai. Ladies ke liye face & wrist tak ke hath alawa tamam body ko clothes wagira se chhupana wajib hai is ke bad is Islami libas ke sath koi Na mehran camera ya live dekhe to koi haraj nahi hai

3) Na mheram ke dekhne se wazu batil nahi hota hai