1) Ek bewa aurat jiska shohar mar gaya ho uske liye islam me kya jagah hai?
2) Us aurat ki mashre me kya importance hai?
3) Kya wo aurat apshaguni / badkismat /manhus mani jati hai?

Kya us aurat ka ghr ki kse shadi ke kam me hath dalna jse shadi ka joda chuna ya rasmo me hissa lena manhusiat mana jata hai?
kya use apni sari zindagi berang hokr guzarni pade ye zaruri hai bina surkh kapde pehne ya bina chudiya pehne?
us aurat ka bhi to dil hota hai hmara islam or mashra kin bato ki ijazt deta hai ase aurto k liye? Please islam or mashre dono ki nazar me tafseel alag den

Bewa ko iddat ki muddat mai sajne sawarne se parhez karna chahiye.

Is ke bad koi haraj nahi hai. Chahe to dusri shadi bhi kar sakti

Apshagun wagera jahalat hai. Islami talimat mai kuchh bhi nahi hai.

Albatta sab ke halat mukhtalif hote hai isliye halat ko madde nazar rakh kar age ki zindagi ki tarah gujarna hai woh tay karna chahiye