1. Gusle tartibi mai body ko 2 hisso mai baat sakte hai, yaani ek sar or dusra pura jism. Kya aese gusl karna sahih hai?
2. Qalil paani se peshab wa paykhane ki taharat kaise kare?
3. Agar koi najis chhez (ayne najasat ke saath or ayne najasat ke bagair) ho usse qalil or kur paani se paak karte samay paas mai rakhkhi cheez par paani udne se kyaa woh najees hogi?
4. Gusle janabat mai gusl mukammal hone se pahele hadase asgar ke jaari hone se, gusl ke baad vazu karna padega?
5.Gusle janabat ke alawa wajib ya sunnat gusl ke baad wazu na karne se namaz sahih hogi?

1. Pehle sar aur gardan, Phir right side, Phir left side
2. 2 dafa wajib, 3 dafa karein tou behtar
3. Nahi
4. Wudhu karna hoga
5. Wajib ya saabit shuda mustahab ghusl ke baad wudhu zaroori nahi hai (maslan Ghusl Jumua, Ghusl Eid etc).