1) India m imam hasan ka dastarkhwan 22 jamadius sani ko manaya jata hai uske bare m bola jata hai k usme har qism k khane hte the aur bohat bada dastarkhwan hta tha. Lekin humne suna h k Islam me ek waqt m 1 dish hi khani chahiye. Imam Ali bhi yahi krte the aur Nehjul Balagah m jo Usman ibn Hunayf ko letter likha h Imam ne usme bhi isi baat pr zor hai k tm aisi dawat m gaye jaha variety k khane serve kiya ja rahe the.

To phir Imam Hasan itne khane kiu rakhte the aur phir shadiyon me jo log 10 15 tareeqe k khane rakhte h whh bhi theek hua, phir kiu kaha jata h simple shadi kro khali ek dish rakho.

2) Jo aaj kal india me shadiyan horahi hain unme jo khano ki varieties ka chalan chala hai usla intezaam krte karte na jane kitne log karzdar ho jate hain. kiya behtar nahi agar baarat aur walima me ek hi dish rakhi jaye?

1) Ek misal ke zariye aapke sawal ka jawab
hum khud koi bhi sasata wala itr(khusbu) istemal kare lekin Jan khana e kaba Ko itr (khusbu) khas or special lagate ye uska aehteram ki nishani hai. Bus. Is tarah hum dastarkhan par achha or tarha tarah ke khno ka intezam karte hain sirf is bat ka khayaal rakhana jaruri hai ke israf na ho. Is tarah shadi mai khana mehmanon ke aehteram mai hota us mai be israf or kuchh bato ka khayaal rakhana jaruri hai.

2) Sab ko apni itetaat ke mutabik intezam karna chahiye