1) Mera sawal yeh k Muje har 6 Mahine me ek baar college se ek visit k liye jana padta hai Aur har baar bus ka timing aesa hota hai k subh ka timing bas mehi kaza hojata hai. So kya muje namaz shuru bus me hi padleni chahiye? Ya fir kaza honeke bad jab jagah mile tab padu?

2) Bus me mere frnds song aur nach gana shuru hi rekhte hai because sab hindu hai. Halaki me nahi krta bt song bajte rehte hai to kya karu sunna padta hai.
Me puri koshish krta hu k song me mera dhyan na jaye bt song aesi chiz hai, k baj rahe hai to dhyan jayega hi aur company vist me jana acha hai bohot sikhne milta hai aur compulsory bhi hai. To kya yaha me koi jhooth bolke bahana bana k na jana chahu to kya jhooth bolna sahi hai yaha?

1) Agar darmiyan me bus ruke tu padh lein Aur agar aisa mumkin nahi hai Tu phir qaza padhenge
2) G music Aur songs haram hain agar band karwana mumkin ho tu band karwa dein. Aur agar yeh mumkin na ho tu tawajjuh na dein Aur kitab padhte rahein.
Jhoot na bolein bulke unko sach batayein Shayad phir Aapke Hisab se woh arrangement karein.