1- Taqwa aur Parhezkari hasil karna (Taqwa Wajibat deeni per amal karna aur Haram kamo ko anjam na dena)
Roza ki halat main Insan is cheez ko banisbat achchi tarah se anjam se sakta hai. Roza Insan ke iradon ko mazboot karta hai. Aur Insan jis cheez per ek mahina control kar sakta hai chahe to aage bhi continue kar sakta hai.
Quran main Sura Baqra Ayat 183 main Roza ki illat batayee gayee hai.
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
O you who believe! fasting is prescribed for you, as it was prescribed for those before you, so that you may guard (against evil).(2:183)
2- Agar koi Rozi main barkat chahta hai to apne waledain ki khidmat kare. Agar zinda nahin hain to unke liye maghferat ki dua kare, adaqat aur khairiat unki taraf se kare, unke qarz ko ada kare (agar chorh gaye hain), wajib namaz ya roza rah gaya hai uski adaigi kare chahe Khud ya kisi ki ujrat dekar.
Be shak Quran ka koi bhi Sura parhen uska ajr o Swab hai magar Isliye koi bhi Sura parhen magar sabse ziyada jo ahem hai woh insan ka Amal hai Quran main irshad hota hai. Be shak Insan ke liye koshish aur Talash ke siwa koi aur zimmedari nahin hai. Rizq aur har kam ka natija Allah ke hath main hai magar har kam ke liye sabse pahle Insan ko hi Irada karna hai fir us per amal karna hai fir Allah ki zaat per bharosa. Yahi Raz hai kamyab zindagi ka.
3- Mushaf se Fatima (sa) woh kitab hai jo janabe Sayedda (s.a) ne Rasool Akram (saww) ki Rehlat aur apni Shahadat ke arse main murattab ki hai.
Kisi ne Imam Jafar as Sadiq (a.s) se sawal kiya Mushaf e Fatima (a.s) kiya hai. Aapne Farmaya ke Allah ne Hazrat Zahra ke ghamo ke mudawa ke liye Farishte ko Muqarrar kiya tha jo Janabe Sayeda (as) se guftugu karta tha aur Jab Maulaye Kainat ne eh Suna to aapne kaha Ab se aap batayen Jan bhi Farishta aayega uski aur aapki guftugu main main likh loonga. Aur Mushaf e Fatima wahi kitab hai.
Mushaf e Fatiam (a.s) Quran nahin hai .
قال امام الصادق (ع) : ان الله تعالی لما قبض نبیه(ص) دخل علی فاطمة(س) من وفاته من الحزن مالا یعلمه الا اللّه – عز و جل ـ فارسل الیها ملکا یسلی غمها و یحدثها، فشکت ذلک الی امیر المؤمنین(ع). فقال(ع): إذا احسست بذلک و سمعت الصوت قولی لی. فاعلمته بذلک، فجعل امیرالمؤمنین(ع) یکتب کل ما سمع حتی اثبت من ذلک مصحفا.(الکافی، شیخ کلینی،ج 11، ص۲۴۰)
Rasool e Khuda me maal e Duniya main se sirf Fadak hi chora tha jisne Khilafat e waqt ne Ghasb kar liya.