1) Sote waqt jo khwaab dekha ho or us khwab ki kaifyat sokr uthne ke baad kayam rahe or dauran e fajr namaz bhi insaan usi kaifyat mei ho lekin zara kam or namaz mei theek tarah tawajjo na de paaye toh kya namaz ho jayegi?
2) Agar surah ikhlas ya uske baad padhi jaane waali surah ki kisi ayat mei ghalti ho jaaye maslan surah kaafiroon padhte waqt wa la ana aabidum ma abadtum ko ghalat padh liya ho ek aat alfaz or mehsoos hua ki aayat ghalat padhi or us aayat ko dohra kr sahi kiya toh kya ese kisi qalam ko sahi karne ke liye dohrane se namaz ho jaati hai?
1) Namaz sahi hai bas darajate namaz aur sawabe namaz me farq aata hai. 2) Aap agar mutawajjeh ho gae ki aayat ghalat padhi hai to sahi padhna zaruri hai na padhenge tab namaz me prblm hogi