3 saal pehly meri ammi ne mera rishta apni aik czn ki beti se krna chaha to me ne mana kr dia k mera dil nai h wahan pe, but 2 saal pehly unho ne mere se puchy bgair mera rishta kr dia usi larki k sath, me khamosh ho gya k shayad mera dil us ki tarf mayal ho jay lekin ni ho paya, ab muje aik aur larki pasand h, jo k (ANOTHER SECT) h, me confuse hon kia krun aur kese krun,
Kia muje is matter pe istakhara krna chiye ?

Waldain kee pasand family ko dekh ker hote hay, aur bohat saree chezain waldain dekhtay hain jabkay hum khud sirf apni pasand ko dekhtay hain. Ahlesunat ka masla nahe, apki family disturb ho jaye gee, aur anay wali nasal ka Ahlebait AS say mohabat bhe zaroree hay. App Allah subhantala say madad talab karain woh apki pasand ko tabdeel ker sakta hay. Dduniya itne important nahe kay kuch pasand kee kahter apni akhrat khraab karain.
Waldeen kee pasand ko apni pasand banyain aur akhrat kee tarf mutawajah hoon.