Aap jante hoge ke Hindustan me ye maloom karna ke kaun se chiz halal hai aur haram asaan nahi hai.Kuch khane hotels jinke owners Non Muslim hai ya Hindu hai aur waha kaam karne wale Musalman yani khana banane wale kya waha khana khaya ja sakta hai?Aur agar hotel ka maalik Muslim ho lekin waha khana banane qale Non Muslim ya Hindu ho to waha khana wagera khane ka kya hukm hoga? October 12, 2019 by Hasan mahdi Agar malik Muslim hai aur kehta hai ke khana halal hai tou yeh kaafi hai. Mazeed investigate karne ki zaroorat nahi hai Sayed Zafar Abbas food