Aapse poochna tha Maghrib aur Isha kab qazza hoti hai?

Normal condition main Isha namaz ka aakhiri time aadhi raat se pahle tak hai example agar midnight 12 baje hai aur agar kisi ne Maghreb aur Isha namaz nahin parhi hai aur 4-5 minutes bache hain 12 bajne main to ab use chahiye ke pahle Isha ki namaz Adaa ki Niyat se parhe aur fir Maghreb ki namaz Qaza ki niyat se parhega.
Aur agar 11:50 pm per use yaad aata hai ke Maghreb aur Isha ki namaz nahin parhi hai to ab woh dono namaz Adaa ki Niyyat se parh sakta hai.