Abhi 22 Rajab ko imam hasan ka dastarkhaan tha, toh humlogo ne Imam ki nazar karwaye aur aksar nauchndi jumerat ko Maula ali mushkil kusha ki nazar karwate hain. Toh kisi ne pucha ki aaplog nazar q karte, meray paas kisi kitab ka hawala dete huye kuch jawaab na tha. Toh us shaks ne kaha aap kisi kitab ka hawala de ke bataye ya samjha paye ya kahi likha ho to mai bhi zaroor karu. Mai nazar-e-Imam Hussain, nazre Maula Ali mushkil kusha ki ahmiyat kya hawala de k samjhaou?

Hamare yahan jise nazr kahte hain wo wahi fateha hai jo dusre murdon ke liye hota hai. Aur jab murdon ke liye fateha me sawab hai to imam ke liye to badarjae awla sawab hoga. Khane waghaira par is liye karte hain ki ham masumeen se ye izhar karte hain ki apni khushi aur gham me ye nematen jo aapke sadqe me milti hain aapko bhi yaad rakhte hain