Aesa kya karna chahiye jis se apke thoughts k sath actions b positive rahain. Or insan behtareen adatein ikhtiyar kar sakay?

Aisa kam hota hai ke agar insan ki thoughts positive hain aur uska action negative ho. Jabke aisa aksar hota hai ke thought negative hoti hain aur actions positive hota hai ( aise shakhs ko munafiq kaha jata hai) aur eh bhi hota hai ke Insan riyakari(dekha we) main aisa karta hai.
Lehaza agar kisi ki thoughts sahi ma’na main positive hain to use Allah ka shukr ada karna chahiye aur Nek Amal ke liye taufiq talab karna chahiye.
Kisi bhi amal ke anjam main hamare Irade ka bahot dakhil hai aur usse bhi important Allah (swt) ki zaat per bharosa aur Allah (swt) per bharosa hai aur to ab mazboot Irada ke sath kam karna chahiye aur ab kisi ka bhi khauf nahin hona chahiye. For example agar ek khatoon bachpan se hijab nahin karti hain aur dil main is baat ka ehsas aur nedamat bhi hai ( isi ko positive thoughts kahte hain) magar samajh aur friends circle ke influence ki wajah se hijab nahin karti to ab unko chahiye ke Allah se madad talab karen aur kisi ki bhi parwah kiye beghair hijab karna shuru kar den. Ab iske liye insan ko chahiye ke Allah ke Nabi (saww) aur Ahle bait (a.s) ki zindagi ko namoona banaye aur dekhe ke unhone kaise un mushkil gharhi main apne aapko ek lamha ke liye Allah ke raste se juda nahin kiya.