Agar dosri rakat me tashahud nikal jaye aur tisri rakat ke liye khare hojaen aur phr tisri rakat me tasbeehate arba ke baad yad aye ke dosri rakat me tashahud nahi parha tha tou aese waqt me kia hukum he? Aya namaz batil he? Ya koi trika he jo namaz k bad anjaam dia jaye
Agar tisri rakat ke Ruku me jane se pahele yad aaye to bayth jay aur tashahhud padhe aur baad me tisri rakat ke liye khade ho kar tasbihate arba padhe. Aur namaz ko continue kare. Namaz khatm hone ke baad 2 sajde sahv kare.