Agar hum saffar me hon jese apny village jaaein to hm saffar me hongy na ? Aur saffar me puri namaz parhni hoti hai 5 6 din k liye rehny jae to ya adhi namaz parhni hoti hai?

Insan agr 22 km aane Jane yani kul milakar 44 km Safar ka irada karta hai aur apne watan bhi nahi jata ya aysi jagah jata hai jahan usko 10 din se kam rahna hai to in sharaet ke sath jitne din safar me rahega uski namaze Zohr, Asr aur Esha 4 ke bajae 2 rakat ho jaegi isko Qasr namaz kahte hain