Agar kisi k hath k nails k niche skin me kisi tarah ka oil lag gaya ho jo nikal na raha ho aur wo jante huye k wo he firbhi ghusl wajib hone ki halat tak jaye to kya karna chahiye use?

nikal na rahi ho wo cheez to?

Ghusl (Poori body) ya Wudhu main (jis hisse ko dhona ya masah ) karna hai us per koi aisi cheez nahin hona chahiye jisse pani skin tak na pahonch sake lehaza kan ke ander ya naak ke ander pani pahochana zaroori nahin hai. Isliye agar nails ke niche koi cheez hai to usse Ghusl ya Wudhu per koi farq nahin parhega.