Agar koi relation mey kisi galat ladki ke relation mey pad gaya ho or unke maa ne taveez ya kuch padwane banane ko kaha ho kiyou ki ladki ka character theek nahi hai

Yh kam taveez ke alawa dosre tariqe se kiya ja sakta hai. Yeh issue Akhlaqi hai, ismain larke ko eh samajhna ya samjha na hoga ke kal ko wahi larki uske bachchon ki maan banegi. Aur fir medical science bhi kahti hai ke bachche main Nana aur Nanihal ke character ziyada aaye hain. Isi liye Rasool (saww) ki hadis hai ke
Aapne farmaya:

قَامَ رَسُولُ اللَّهِ ( صلى الله عليه و آله ) خَطِيباً فَقَالَ: "أَيُّهَا النَّاسُ، إِيَّاكُمْ وَ خَضْرَاءَ الدِّمَنِ".
قِيلَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَ مَا خَضْرَاءُ الدِّمَنِ؟
قَالَ: "الْمَرْأَةُ الْحَسْنَاءُ فِي مَنْبِتِ السَّوْءِ" 1 .

1. الكافي : 5 / 332 ، للشيخ أبي جعفر محمد بن يعقوب بن إسحاق الكُليني ، المُلَقَّب بثقة الإسلام ، المتوفى سنة : 329 هجرية ، طبعة دار الكتب الإسلامية ، سنة : 1365 هجرية / شمسية ، طهران / إيران .

“ Ghoore ki sabzi se bacho… kisi ne poocha ya Rasoolallah Ghoore ki sabzi se kia matlab??
Aap (saww) me farmaya woh larki jo khoob soorat to hai magar uska character achcha nahin ho ( khoob Seerat na ho) usse shadi Mat karo.
Lehaza aise kamon main thora Logic se kam liya jaye. Waise agar Allah se 14 Masoomin ke tawassul se dua mangi jaye ke is larke ko yeh baat samajh main aa jaye to bhi koi bura nahin hai aur achcha hi hai.