Azadari Imam Husain (a.s) ko rasm aur rewaj se hat kar barpa karna chahiye aur aaj azadari e Imam Husain (a.s) ko rasmon main badalne main aise zakerin aur khotaba ka bada kirdar hai. Lehaz aise har fard ki mukhalefat hona chaiye jo azaye Husain ko tijarat banata ho. Jahan tak Fiqhi mas’ala hai marajey karam ne majlis ka hadiya lene main koi ishkaal nahin bataya hai. Magar akhlaqan eh achchi baat nahin hai ke zakir pahle se tay kare aur fir apni pasandida raqam milne per hi majlis parhe. Aise log kiya message denge ek insan khud mahsoos kar sakta hai.