Agar aap Zinda Insan ki baat kar rahe hain to uske liye wajib hai ke agar woh raat main Mujnib ho jata hai, Fajr ki azan se pahle ghusl kar ley warna uska roza bhi batil hoga aur usey us roze ke badle qaza aur faffara dono anjam dena parega.
Ab jaisa ke aapne likha hai agar koi banda halat e janabat main Chala jata hai agar aapki murad marjata hai to uske liye wahi Ghusle Maiyyet kafi hai aur alaheda koi ghuls nahin dene ki zaroorat hai.