Agar roze me koi aadmi janabah ki halat me pohoch jaaye , toh uska roza baatil ho jayega? Agar nahi , toh agar wo janabah hi halat me thodi der guzarne ke baad ghusl kare , toh uska roza barabar hai?

Agr sote me ya khud ba khud halate janabt me pahuch gya to roza sahi hy, lekin agr usne khud koi aysa kam kiya ki mujnib ho gya to roza batil aur kaffara bhi hy. Dono surat me fauran ghusl zaroori nhi hay mgr ye ke namaz ka waqt kam ho to namaz ki wajh se gusl zaroori hoga.