Agar zohar namaz ke dosri rakat me tashhud ke sath salam bhi padh liya. Jaise salwat ke baad asslamo aisa ayyohan nabi bas itna phir yaad aya ke 4 rakat namaz hai aur khade ho gae toh kya tab bhi sajd e sau karna hoga? Salam complete nai hoa tha.

Koi bat nahi Kyonke by mistake aap ne Salam Kahiye padha hai sahwan padha hai aap Salam padhna bund kar dein khade ho kar Namaz complete karein Yane teesri Aur chauthi Rakat namaz padhein
Jaise aap namaz padhte hain, namaz khatm hone ke bad aap sajda e Sahv karenge us Salam be ja ke liye .
Sajda e sahv ka tareeqa yeh hai Niyat kijiye main 2 sajda e sahv karta hon Salam beja ke liye wajib qurbatan elallah phir Sajde me jaiye Aur padhiye BISMILLAH WA BILLAH ASSALAMO ALAIKA AIYYUHAN NABIYU WA RAHMATULLAH E WA BARAKATUH
Phir sajde se sir uthaiye Aur baith jaiye jaise normally 2 Sajdo ke darmiyan baithte hain phir Sajde me jakar wahi Zikr padhiye jo padha tha phir tashshahud padhiye Aur ek Salam padh kar mukammal kar dejiye.
Wassalam