Agr ek shaks gheebat se bachna chah raha hai or jab bhi woh apne parents ke sath bet tha hai or woh gheebat shuru kerdete hain or unko is guna ke bare mai batane ke bawajud woh bad mai phir se gheebat kerte hain tu is condition mai kia hame us jaga se chale jana chahiye or un ke sath betna kam kerdena chahiye?
Or kia jab jab woh gheebat karen tu kia har dafa hame is guna ke bare mai batana parega kiu ke ap pehle bhi bata chuke or is ka koi asar nahi hua tu phir jab bhi woh gheebat karen tu kia karen?

Bahot hi respect aur ehteram ke sath unhein batayein Quran aur Hadith ke mutabiq bahot buri cheiz hai.
Ya ho sake tu is subject par kitab la kar rakh dein ya is subject ki majlis ghar me lagayein ya link share karein ke khauf e Khuda paida ho