Agr hum kisi k gunah ki waja se usy nafrat kryn to kya yh jaiz hy? Q k us k gunah se hmri family bohat effect hoti hy sub mujhe khty k main us se nafrat na krun par mujhe usy dekhne ko b dil nhi krta. Sub khty k main galt hum jo us se nafrt krti hun q k main us k liye dil main nafrt rakhti to Allah pak us k rasty kholty jaty hain us k liye asani hoti hy? Kya yh bat thk hy? Asa hota skta hy?

Gunah se nafrat kijiye aur gunahgaar ko hidayat kijiye gunah ke daldal se nikaliye.
Jis tarah dobne wale ko bachana wajib hai Gunahgaar ko gunah se rookna wajib hai aur isko nahi anil munkar kahte hain yane burai se rookna
In’Sha’Allah ache ikhlaq aur gentle naseehat se In’Sha’Allah woh insan badal jayega.