Agr koi Shaks kitaben parhe aur ilm hasil kare aur usy ilm e rijal ka bhi pata ho aur jitne bhi important uloom hon usy us me maharat ho to kiya wo research scholar bhi Madarsa join kare jabke wo 300+ books ka likhne wala ho. aur Ilmi banda ho? Phir bhi lazmi hai? Aur agr hum esy bande ki kitaben parhen to kin kin cheezon ka dhiyan rakhna zarori hai..
jab ke kitab likhne wale ne kisi hauze se Degree nahi li bas unse Books parhin aur har cheez me uski grip achi hai ?

Kitaabein parhne mein koi haraj nahi

Jahan tak madrasa ki baat hai tou wahan par Fiqh mein mahireen banaye jaate hain lihaza aisey Kisi bhi shakhs ki taqreer ya tahreer se fiqhi masail na liye jayein Baqi cheezien lene mein koi haraj nahi