Alhamdolillah Hajj me jana naseeb hua hai to wuzu k baare me kuch questions hai
Agar bagal wale haji k wuzu ka paani agar mera wuzu khatam hone se pehle hamare wo hisse par gire jo already dhule hue hai to wuzu phir se karna hoga, kyu k aksar daya haath dhote waqt ya masah karne se pehle hi bagal wale k wuzu ka pani chehre par ya baaye haath lagta hai to tarteeb ka kya mas'ala hai? Makka me agar spray bottle se wuzu karna hai to agar daya ya naya haath dhote waqt pani ki choti bundle agar chehre par udti hai to wuzu sahi hoga, ghar pe tajurba kar chuka hu, kuch bundy ud kar chehre ya dusre haath par bhi usdte hai

Wuzu karne se pehle kya haath aur chehra wuzu ki niyat se pehle dho sakte hai? Kyu k mai Madina me hi rehta hu aur haram me tez hawa ki waah se wuzu mukammil hone se pehle hi chehre par bilkul paani nahi bachta, to pehle se hi haath aur chehra dho leta hu itminaan ke liye, ab normally ghar par bi wohi tarika apna ta hu, to ye tarika sahi hai

1-Bhai jis hisse ko dho chuke hain agar pani ki bondein lag Jati hain tu koi masala nahi hai Aur agar jis hisse ko Abhi dhona hai us jagah ko khushk (sookha) hona chahiye Magar agar hulki bond giri ho Aur us par wuzu ka pani ghalib aajaye Yane wuzu wala pani zyada ho tu koi masala nahi
Spray wale wuzu me Bhi yahi hukm hai
2- Nahi wuzu se Pahle wuzu ki Niyat se aisa nahi kar sakte. Wuzu me tarteeb Aur mawalaat shart hai