Apne shayad suna hai ya nahi lekin kuch log yaha Australia mai bahar mulk se cigarettes late hain ziada quantity mai or airport per usey declare nahi kerte takey woh custom dene se bach jaen. Aur Australia mai cigarette ziada quantity mai lana illegal hai. Agar app usey declare nahi kerte or custom se bachte ho or phir yaha Australia mai ziada amount mai sell kerke bohot ziada profit banate hain. Kia ye kamai haram hai chuke isme naa hi rishwat hai bus app cigarettes ko airport per declare nahi kar rahe ho custom bacha rahe ho or ye nahi drugs hai? Kia is per khums waghera dia jaa sakta hai?

Yeh jayez nahi hai. Declare nahi karna yane jhoot bolna jo shariat ke hisab se haram hai
Aur Maraje ki ruling ke hisab se jis mulk me rahte hain is mulk ke qanoon ka ehteram zaroori hai agar woh khilaf e shariat na ho aur pakre jane ki surat me deen ki badnami hogi jo jayez nahi hai