Aqiqa ka ghosh kon kon kha sakta hai agar sayed or ghair sayed ki baat hai to

Sabhi kha sakte hain sewaye ye ki bachche ke waledain, bhai, bahen ya wo log jinka kharch us bachche ka aqeeqe karne wala (for exapmle baap) uthata ho (for example bachche ke dada dadi etc.). Unke liye is aqeeqe ka gosht khana makrooh hai. Maa ke liye shadeed karahat batayi gayi hai (shadeed karahat ka matlab hai is kaam ko na karne me sawab hai jiski bahut takeed ki gayi hai). Baqi momeneen me se koi bhi kha sakta hai. Yahan par sayyad aur ghair sayyad wala masla lagu nahi hoga wo sirf wajib zakat aur sadqe me lagu hota hai, mustahab ya sunnat me nahi.