as salamun alalkum
me ek Indian hu Jo Saudi me 17 saal se re rahi hu
meine mere bete ko 11 saal ki umr me sunnat ki niyat se haj karwaya
ab mar 2018 me India a rahi hu
bahot pareshan hu
kyu ki mere Ghar par rishtedar ne deposit le li
ab dene ko tayyar nahi
mere husband yaha driving karte Hai
hamari hasiyat itni acchi nahi Hai

Kya Mera beta baad mei wajib haj kar sakta haijab woh khud kammane lage

Walaikumussalam
Khuda wande taala aapki aur Tamam ghar Walon Ki ibadaat Ko qubool kare aur aasaniyan paida kare
Kyonke aapke Bete par Haj wajib nahi howa tha aur us Ne sunnat Ki niyat Se Haj kiya yeh bilkul sahi aap logon Ne karwaya inshallah jab aapka beta baligh hoga aur Haj ke liye mustatee (potentiality) ho jayega tu us par Haj wajib hoga aur wajib Ki niyat Se karega
Khuda wande taala rizq aur sehat Ne Barkat de
Aameen
Wassalam