Baaz aurto ki shikayat milte rehte hai k unka shauhar bada zalim hai aur wo un par zulm karta rehta hai aur Islam ka hukm hai k es zulm par bhe sabr kiya jaye aur ye galat hai.

Es chiz ki wazahat chahta hu.

Islam ne kab kaha hai ki shauhar ke zulm par sabr karo? Ye to ghar ki aurten samjhati hain jahan doli gai hai ab arthi hi nikle. Islam ye kahta hai ki choti choti shikayton par talaq na lo balki usko hal karne ki koshish karo. Islam ne talaq isi liye rakha hai ki agar koi rasta na bache to ye rasta hai