Baat eh nahin hai ke Hazrat Mukhtar ka Qayam sahi tha ya nahin baat eh hai ki eh scholars aur ulema ka mamla hai ismain ziyada pareshan hone aur ulajhne ki zaroorat nahin hai. History main different views hote hain kiya sahi hai kiya ghalat hai har research scholar ki apni research aur tahqeeq hoti hai na kisi scholar ko 100% sahi kah sakte hain na bilkul ghalat. Baat itni hai ke ismain kisi ko ziyada pareshan hone ki zaroorat nahin hai. Eh issue na to hamare faith se juda hai aur na hi Islam ka buniyadi usool. Iske alawa bahot se masail hai jo qaum main discuss hona hai aur zaroorat hai. Is waqt qaum main Talim ko aam kiya jaye. Beghairati ko kam kiya jaye. Imam Husain ki shahadat ka asl maqsad kiya tha aur ham usse kitni aashnayee rakhte hain is per diqqat ki jani chahiye.