1) Gift me mili hui cheez agar 1 saal tak use na ho to uss par khums hai magar kuchh cheeze 1 saal me use ho hi nahi sakti like tv, bike, ornaments etc…to iss ke liye kya hukm hai?
2) Aur gift me mili hui cheez agar unnecessary ho to kya hukm hai?
3) Gift dene wala agar khums na nikalta ho to? or hame pata na ho ke wo khums nikalta hai ya nahi to kya hukm hai?
1- agar use Nahi hoi tu khums dena hoga 2- tu khums dena hoga kyonke unnecessary hone ki wajah se istemal nahi howa tu khums apply hoga 3-koi masala nahi hai mumkin ho tu usko naseehat ki jayegi