Agar Insan kisi dosre ki behtari ke liye Allah se Dua karta hai to eh Uski greatnesses( buzurgi) Aur Sincerity (Ikhlas) ko show karta hai lehaza behtar yahi hai ke is maine apni gharaz shamil na ki jaye (agar che aisa karna ghalat nahin hai) magar eh thora cheap maloom hota hai aur insan ka tajerana zahen isse maloom hota hai. Haan Allah ki bargah main Insan apne liye bhi jitna chahe beghair kisi qaid o band ke mang sakta hai. Lehaza jab apne liye maanga jaye to bhi dosron ko shamil kiya jaye aur jab dosron ke liye dua ki jaye to apne ko shamil na bhi karen to eh Allah ke karam aur Azamat aur Buzurgi ke khilaf hai ke woh aapke zariye dosre ki haq main ki gayee dua to qabool kar le aur aap ki khud ki Dua radd kar de.