Jahan tak parents ke Huqooq ki baat hai Islam main wajib hai ke Aulad apne waledain ki kifalat karen. Aur Waledain ke Huqooq ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke unko apne bachche ke paison main se kharj karne ke liye ijazat lene ki bhi zaroorat nahin hai.
Aulad ke uper Maan aur Baap ki kifalat zaroori hai chahe waledain ke pass kitna paisa hi kion na ho. Eh aur baat hai ke waledain apni Aulad se kuch na len magar unka poora haqq hai.
Quran aur Hadis ki raushni maine waledain ki khidmat per bahot ziyada taqeed ki gayee hain. Kisi bhi situation main Aulad waledain ko naraz nahin kar sakta aur har soorat main Aulad ko waledain ki baat manni hai sewaye kisi Haram kaam ke.
Jahan tak Maan ki baat hai to Maan se barh kar is Duniya main koi dosri shakhsiat Allah be banayee hi nahin hai. Nabi aur Imam ke alwa agar kisi to ita’at wajib hai to woh Maan aur Baap hi hain.
Maan agar bewa to uska jo sharyee haqq uske Shauhar ki property main chahye woh Cash money ho ya property ho zaroori hai. Aulad apne walid ke inteqal ke baad unki Poori property ko nahin le sakta balke Quran main Sura Nisa ki Ayat 12 main clear likha hai agar Husband ka inteqal ho jaye aur uske bachche na hon to 1/4 property uski wife ko milegi aur agar bachche hon to 1/8
وَلَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ أَزْوَاجُكُمْ إِن لَّمْ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٌ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٌ فَلَكُمُ الرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْنَ مِن بَعْدِ وَصِيَّةٍ يُوصِينَ بِهَا أَوْ دَيْنٍ وَلَهُنَّ الرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْتُمْ إِن لَّمْ يَكُن لَّكُمْ وَلَدٌ فَإِن كَانَ لَكُمْ وَلَدٌ فَلَهُنَّ الثُّمُنُ مِمَّا تَرَكْتُم مِّن بَعْدِ وَصِيَّةٍ تُوصُونَ بِهَا أَوْ دَيْنٍ وَإِن كَانَ رَجُلٌ يُورَثُ كَلَالَةً أَوِ امْرَأَةٌ وَلَهُ أَخٌ أَوْ أُخْتٌ فَلِكُلِّ وَاحِدٍ مِّنْهُمَا السُّدُسُ فَإِن كَانُوا أَكْثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمْ شُرَكَاءُ فِي الثُّلُثِ مِن بَعْدِ وَصِيَّةٍ يُوصَىٰ بِهَا أَوْ دَيْنٍ غَيْرَ مُضَارٍّ وَصِيَّةً مِّنَ اللَّهِ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٌ
And you shall have half of what your wives leave if they have no child, but if they have a child, then you shall have a fourth of what they leave after (payment of) any bequest they may have bequeathed or a debt; and they shall have the fourth of what you leave if you have no child, but if you have a child then they shall have the eighth of what you leave after (payment of) a bequest you may have bequeathed or a debt; and if a man or a woman leaves property to be inherited by neither parents nor offspring, and he (or she) has a brother or a sister, then each of them two shall have the sixth, but if they are more than that, they shall be sharers in the third after (payment of) any bequest that may have been bequeathed or a debt that does not harm (others); this is an ordinance from Allah: and Allah is Knowing, Forbearing.(Sura Nisa: 12)
Lehaza bewa Maan ka sharyee haq banta hai uske shauhar ki property main aur eske alawa Aulad ke uper apni Maan ki Kifalat wajib hai. Aulad ke uper farz hai ke woh apni Maan ka poora kharj Bardasht kare. Ismain kisi aitbaar se na to koi shak hai aur na tardeed.