Ek intehai azeez dost ki wafaat k baad main zehni pareshani aur anjaane khouf main mubtala hon aur ek kaifeyat jisay angrezi main 'Depersonalisation/Derealization' kaha jata ha us se bhi guzar rha hon.
Dar haqeeqat mein maazi main ek sangeen gunah ka murtakib hua hon..kyunke mene ek Syed larkee se nazeba guftugu kee..aur mjje is baat ka andesha ha k ye mere isi gunah k bayas ha. Main is gunah pr intehai naadim hon. Aap is takleef se nijaat k lie meri rehnumai farmayen.

Gunah ki wajah se khufe khuda me rahana achchi chez hai lekin ye halat aysi bhi nahi hona chahye jiski wajah se zindagi par asar pare, is Halat se nikalne ke liye ap chant kam karen:
1. Is bat par ghor karen ki Allah Arhamor Rahemeen hai agr apne sachche dil se maafi mangi hai to wo zaroor maaf kar chuka hai.
2. Jis khatoon se apne bad-kalami ki hai agr mumkin hai aur usme koi aur badnami ka khof nahi hai, to unse Mazerat karke unko razi kar len.
3. Jitna mumkin ho ziyada se ziyada Salwat paren.
4. Shabe juma Duae kumail bhi apko sokun ata karegi
5. Namaze subh ke bad right hand Qalb bar rakh kar 70 times kahye: ya Fattah