Ek property, jo ki hameri marhoom daadi ke naam hai, ke silsile me poochhna hai ki kaise taqseem hogi.

Hamare dada dadi ke 3 auladen thin. 2 betiyan aur ek beta. Hamare dada dadi aur ma baap ka inteqal ho chuka hai.

Sabse pehle (dada dadi ke baad) hamari badi phupi ka inteqal hua. Unke 2 ladke aur do ladkiyan hain. Unke showher ne doosri shadi karli hai lekin unse koi aulad nahi hai.

Uske baad hamare walid ka inteqal hua phir walida ka. Hum char bhai hain. Chhoti phupi hayat hain aur unke showhar ka abhi haal hi me inteqal hogaya. Unke 2 ladke hain.

Please batayen ki has hum kaise property ko taqseem karen

Aap ne jaisa likha us ke mutabiq is tarah taqseem hogi
Ek bete Aur 2 betiyan
4 shares banenge 2 shares Aapke walid ke Aur 1 share zinda phuphi ko Aur ek share Aapki Marhooma phuphi ki aulad ke darmiyan is tarah distribute hoga ke bete ko double share milega Aur betiyo ko single.