Zahir si baat hai Insan jab koi nek amal karta hai to use achcha feel hota hai. Yeh hamari tabiyat main hai aur ismain koi burayee nahin hai magar jo ismain mushkil aati hai woh yeh ke Insan ko ander se proud ka ahsas hone lagta hai. Bas yahi dangerous hai. Isi wajah se deen kahta hai koi bhi kam karo to uska credit apne Nafs ( khud ki zaat) ko mat do warna isse tumhare ander ghamand (proud) jayega. Balke kaho yeh sab Allah Ka karam tha jo maine anjam diya aur usi ke liye anjam diya. Ab na mujhe eh janna hai ke eh mere liye faidemand hai ya nahin. Maine to isliye anjam de raha hoon kion ke Allah ka hukm hai