Apke sawal main teen Baten mumkin hain
1- Yeh ke Insan ek kam kare aur woh kam bhi nek kam ho magar yeh sochkar ke main yeh kam kar raha hoon apne satisfaction ke liye ab yeh Allah ka hukm ho ya na ho mujhse nahin matlab.
2- Dosri soorat yeh ke main ek nek kam kar raha hoon ab iska jo sawab ho magar maine sirf aur sirf is liye kiya hai choonke yeh kam achcha hai isliye main kar raha hoon.
3- Ek ke Insan ek nek kam karta hai aur sirf aur sirf is niyat se ke choonke Allah be isko karne ka hukm diya hai.
Tini soorat main woh sawab ka mustaheq hai magar 3rd soorat main uska aur Allah ka rishta Abd aur Mabood ka ziyada mohkam nazar aata hai aur ek Allah ke khas bandon ka Usool raha hai ke woh koi bhi kam sirf aur sirf is niyat se karte they ke ismain Allah ki reza ( will) shamil ha aur Bas.
Koi bhi kaam kitna achcha kion na ho aapki niyat usko aur achcha bana sakti hai aur aapki niyat aapko us kam ke zariye Allah se aur Nazdeek kar sakti hai.
Isliye Niyyat ka khalis (sincere) hona bahot important role play karta hai.