Ham jo majlis ke baad ziyarat padhte hai, woh sabse pehle kisne aur kaha padhi?

Imam Zainul Abedin (as) jab Imam Husain (as) ki lash par aaye, tu girya kiya aur Ziyarat padhi (Salam kiya). Baqi imam jab Karbala aate aur majlis barpa karte tu salam padhte the.
Rasul (saww) aayat e tatheer ke nazil hone ke bad, 6 months tak har namaz ke bad Bibi Fatima (as) ke ghar ke bahar khade ho kar salam karte the
Assalamo alaikum ya Ahla baitin nabuwat wa madin risalat.