Hamara yeh sawaal tha ki agar hamey urgent kahi jaana hai aur namaz ka waqt bhi ho raha hai to hamney yeh zehen mei rakkar wuzu kiya ke ham eik namaz padhkar wapas aakar dusri namaz padheyenge (dusri namaz ke liye wapas aakar dusri wuzu kareinge kyuki hamari wuzu ziyada time ke liye nahi rahti hai), lekin aisa hua ki bahar jaaney ke liye kuch aur time bacha tha, toh kya aise situation me dusri wuzu ki zarorat hai? Ya hum woh hi wuzu ke sath namaz pad sakte hai ( jisme sirf pehli namaz ki niyyat thi)