Qur’an karim na to scientific book hai aur na predictions ki kitab hai. Quran Karim ek hidayat ki kitab hai. Ab agar kahin per Hidayat kisi personality ki past story main hai to Qur’an main unki story ko bayan kiya hai magar aap ne dekha hoga ke kisi Qur’anic story main aisa nahin hai ke baat ko barha charha kar bayan kiya gaya ho balke to the point baat ki gayee hai aur utni hi story ka zikr hai jisse hamein lesson milta hai jabke kisi Insan ki kitab main jab koi incident ya event ki baat ki ja rahi hoti hai to pahle ek muqaddama pesh kiya jata hai ya story ki tamam juziyaat bhi bayan ki jati hain magar Quran main aisa kuch nahin hai.
Chahe woh Prophet Noah (s.s) ki baat ya Prophet Adam(a.s) ki baat ho ya Prophet Musa (a.s) ya Isa (a.s) ki baat ho.
Isi tarah hidayat ke liye agar kahin scientific facts ko batana hua hai to wahan scientifically baat ki gayee hai magar code word main for example Qur’an ki is Ayat main ek baat aisi hai jise aaj ki science approve karti hai:
إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا بِآيَاتِنَا سَوْفَ نُصْلِيهِمْ نَارًا كُلَّمَا نَضِجَتْ جُلُودُهُم بَدَّلْنَاهُمْ جُلُودًا غَيْرَهَا لِيَذُوقُوا الْعَذَابَ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَزِيزًا حَكِيمًا
(As for) those who disbelieve in Our communications, We shall make them enter fire; so oft as their skins are thoroughly burned, We will change them for other skins, that they may taste the chastisement; surely Allah is Mighty, Wise.(4:56)
( كُلَّمَا نَضِجَتْ جُلُودُهُم بَدَّلْنَاهُمْ جُلُودًا غَيْرَهَا لِيَذُوقُوا الْعَذَابَ
so oft as their skins are thoroughly burned, We will change them for other skins, that they may taste the chastisement;)
Kion kaha gaya jab Jahannam main skin chal jayegi to Allah fir se dobara new skin develop kar dega. Aaj ki Modern science se eh sabit hai ke human body main agar sense hai to skin main hai balke uske niche jo fat ki layer hai usmain bhi sense nahin hota isi tarah bones main hair main aur even brain sells main bhi sense nahin hota. Isi liye jab insan headache feel karta hai to aisa nahin hai ke uske brain main dard ho raha hota hai.
Lehaza aisa nahin hai ke ke Quran ki har Ayat main agar koi scientific fact ho ya koi predict ho tabhi woh miracle hai. Balke baat eh hai ke Quran ne Arabic ke unhin 28 letters ka istemal kiya hai jise aaj bhi Arab apni bol chal main use karte hain magar in the mean time they are not capable to say one single arabic sentence like Quran has. Aur agar yaqin na ho to kisi bahot bare Arabic janne wale se kahiye ek line Quran ki tarah likh de jiska itna deep meaning ho ke agar ek Doctor parhe to woh bhi samaj jaye ek economist parhe to woh bhi samjhe aur agar ek mamooli insan parhe to uski bhi samajh main aaye.
Quran ke miracle ka matlab eh nahin hai ke uski ayat main koi magic hai. Nahin balke miracle eh hai ke its sentences looks very simple and easily readable and understandable but same time it has very deep meaning that while we are going towards high technology and our brain is becoming sharper and sharper but still Quranic verse are not seemed old or outdated. Rather intellectual understand it in very precise way.
Isliye ab eh kahna ke kisi Sura main mojeza hai ya nahin hai it’s not correct but each and every verse of Quran is unique in its meaning and structure and synthesis.