Hamare yaha Imambarghah mei jaha namaz hoti hai, waha ek zakera ki bacchi ne chatayi par peshab kar di hai or humne ye dekhna hai.
Ab hume ye pata nahi hai unhone usey paak kiya hai ya nahi par wo ilm rakhti hai pakizgi ka.
Hamari kya zimmedari hai ismei?

Agar aapko yaqeen hai ke Zakira is baat ko janti hain to ab aapki koi zimmedari nahin hai aur agar aapko doubt hai to aap ya khud is mat ko pak kar dijia ya unko yeh baat bata dijia. Agar mat uthayee ja sakti hai aur peshab neeche tak nahin gaya hai to chatayee ko pak kar dijia ismain koi sharm ki baat nahin hai aur agar chatayee ya qaleen ya farsh move nahin ho sakti, to ek kapda lekar baar baar kapde ko pani se wash kar ke us jagah ko rub kijia. Yeh amal kayee bar karne se woh jagah Pak ho jayegi. Har bar kapde ko rub Karne ke bad dhul dijia magar uska pani aas paas nahin girna chahiye. Iske liye alag se ek bartan le lijia.