Hm job karte hai. Aur hmri zohar ki namaz kaza hojati hai. Q ke hmre office mai namaz padhne ki jagha nhi hai. Aur masjid hmri office se bahot dur hai. Hmri office magrib ke time chutti hai. To hm kya kare, kaza namaz padhe. Aur kabhi kabhi aisa hota hai ke kaam ki wajha se hmko late ho jata hai to hm ghr late pauchte hai. Magrib ki namaz raat mai kitne bjh ke baad kaza padhi jati hai

W alikum Salam
Namaz parne ke liye 2 fit jagah ki zarurat hai lehaza ap koshish karen kisi bhi jagah waqt me Namaz ada karen.
Maghrib aur Esha ka waqt Adhi rat tak rahta hai
Adhi rat ka calculation ayse hoga ki ap Azane Maghrib aur Azane Subh ki timing ko dekhen, jitna duration ho usko half karke Azan Maghrib ke time se Add kar den to time niklega wo nisfe shab aur Maghrib aur Esha ka last time hai.
Agr is time me Maghrib and Esha na par par to baghyr Qaza ya Ada ki niyat se Azane subh se pahle par lijye