Hm Job karte hai jis wjha se hmko travel karna pardh ta hai par kabhi kabhi aisa hota hai ke travelling ke dauran ya office ke dauran peshaab ke kuch karre nikal jata hai aur hmre under garments mai lag jate hai. Isse ye to pata chal hi jata hai ke hmre under garments najis ho gaya hai par kya us wjha se hmre outer garments bhi najis hoga ya nhi? Aur aisi halat mai hmko gusul karna chahiye ya fir khali niche ke hisse ko dhoo ke hm Namaz Padh sakte hai?