Dua se pahle khuda ki hamd vo sana kare aur mohammad va aale mohammad per salwat bheje uske bad dua kare aur uske bad bhi salwat bheje. Hadees me aaya h agar dua se pahle aur bad me salwat bheje to darhaqeeqat 3 dua kiya h qki salwat bhi dua h aur yaqinan mustajab hoti h aur khuda vande kareem isse kareem h ki shuru aur aakhir ki dua ko qabool kare aur darmiyan ki dua ko mustajab na kare.
Albatta khuda vand ne vada kiya h ki dua ko mustajab karega ادعونی استجب لکم lekin jimn me farmaya h اوفو بعهدی اوف بعهدکم mere ahd ki wafa karo taki mai bhi apne ahad ki wafa karun is bina per dua ki qabooliyat ke liye zaruri h dua krne vala gunahon se pak ho aur vajibat ko anjam diya ho taki khoda ke ahed ki wafa kiya h aur uske awaz me khoda bhi apne vade ke