Islam main Hijab ka concept in madhoon main bilkul nahin hai ke woman kaisa kapda pahne aur kia color ho. Hijab ka matlab hai ke Woman ki body fully covered ho aur uske body parts kapde ke uper se numaya na hon. Ab woh kapda kis color ka hona chahiye aur kis design ka hona chahiye it doesn’t matter. Lehaza agar kisi aurat ko job karna hai to woh Islamic dress code ko follow karte hue aur apni modesty ka khayal karte hue jo kam urfe aam ( public domain) main bura nahin hai aur aurat ki shan aur manzil at ke khilaf nahin hai to kar sakti hai.