Humne suna h Namaz behetreen exercise h, roza rakhne se sehat milti hai, Quran padhne s ankhon ki roshni badhti h. yeh sari baaten kisi raah chalte s nahi balki Alimo s Suni Hain.
But dekha ye h ki:
Namazi ko bi backpain or joint pain hota h
Roza rakhne k baad bhi saal k 12 mahine bimaar Hain log
Quran padhke bi ankhon p chasma hai.
Conclusion : ya to Alim ne jhut kaha hai. Unko sirf yeh kehna chahiye k yeh sab wajib h bas isliy anjaam den.
Jab yoga s puri health develop hosakti h to mai ghanto Namaz Quran or pure din roza q rakhun.
Wajib h padho warna sazaa milegii. Ajeeb zabardasti h.
Force krke pressure krke koi kaam ni kia jata

Please clear my doubts if possible.

Jahan tak Namaz, Roza aur Quran ki Tilawat se mutalliq faide ki baat hai to jo aapne zikr kiya hai woh ek bahot hi mamooli aur na qabile zikr faida hai aur yeh teeno cheezen is liye wajib qarar nahin payeen hain is liye ke iske eh faide hain jaisa ke aapne bayn farmaya hai.
Magar haan in teeno cheezon ka faida ho aapne suna hai aur yahan likha hai woh apni jagah sahi hai aur iska saboot bahot se Allah ke khalis aise bnde hain jiko eh faide mile hain aur milte hain. Agar yeh Khudayee taqat in ebadaton se na milti to kia aap koi insan aisa bata sakte hain jiske jism per hazaron Zakhm hon aur uski age 57 saal ho aur mahez kuch ghanton main 72 lash apne kandhon per utha kar laye aur uske baad behtareen jang bhi kare aur 3 din ka bhooka aur piyasa bhi ho. Haan agar Ahle bait (a.s) ki zaat na hoti to in ebadaton ke sahi faide aur hikmat ko koi insan nahin samajh pata.
Magar sawal yeh hai ke jis tarah ham namaz parhye hain aur Quran parhte hain aur roza rakhte hain uske baad hamari tawaqqo yeh hoti hai ke fauran mojeza ho jaye aur sab kuch badal jaye. Magar kia hamari ebadaton main utna khuloos hota hai warna jaisa ke aapne bataya Yoga to yoga kiya cheez hai agar insan us meditation aur tamarkuz e zahni se namaz adaa kare jaisa rewayaat main bataya gaya hai fir dekhiye uske jism ko kiya faida hota hai. Ham roza to rakhte hain magar iftar main kiya khate hain aur kitna khate hain aur kaise khate hain. Kabhi ghaur kijia to maloom hoga ke fir aise roze ka kiya faida. Biologically jab hamari body starvation main chali jati hai uske baad usko kis mewdar main aur kiya khana chahiye agar proper tariqe se manage kiya jaye fir dekhiye roze ka kiya faida hai.
Kitabe khuda Noor hai kion ke yeh Allah ka kalam hai magar fir wahi baat ke hamari dil siyah (black) hai thhek waise ho jaise kisi gande bartan main kitna bhi saf pani kion na rakha jaye woh paani ganda ho jayega. Agar insan ka dil paak ho to beshak Allah ka kalam uske dilo jaan per asar dalega fir aankh ki raushni ki kiya baat hai Insan ka poora wajoon enlightened ho jayega.
Ab bbat zabardasti ki:
Aapko maloom hai deen ke 2 Rukn hain
1- Usool e Deen
2- Furu e Deen
Har insan ko poora akhtiyar hai ke jab tak woh Usool e Deen (Fundaments of Religion) ko na samajh le us per koi zor zabardasti jaisi baat nahin hai. Usool ko samajhne ke liye Allah ne har Insaan ko Aql di hai aur jahan Insan ki Aql kaam na kar sake Uske liye usne Book aur Guide diye hain. Ab agar Insan 20-25 saal bhi tahqeeq aur research karta hai fir din ko manta hai to use poora akhtiyar hai ke woh aisa kare.
Ab agar Insan ne apni Aql aur Fahem se yeh maan liya ke Allah hai aur woh Just (Adil) hai to fir ab jo hukm Allah ne uske liye bataye hain uske manna hoga. Ise zabardasti nahin kahte balke system ko follow karna kahte hain. Aap agar Computer main systematic kaam na karen to aapka computer aapko sahi rasta nahin dikha sakega. Ya agar aap jis bhi country main rahte hain aur wahan ka passport aapne le rakha hai iska matlab indirectly aur directly aapne eh wada us country se kiya hai ke ab jo rules aur regulation aapke Mulk ka hoga use main manunga kiya aap is zabardasti kahte hain? Nahi yeh us system ka taqaza hai warna country collapse ho jayegi auar sabhi log free hogar jo marzi main aaye karne lagen.
Is liye jab insan ne apni aql aur intellect se Usool yaani Fundaments of religion ko man liya hai to ab use Namaz bhhi parhna chahiye aur roza bhi rakhna chaiye. Yahan Jannat aur jahannum ki koi baat hi nahin hai yeh ek Aqli masla hai.