I’m in a relationship with someone and sometimes talks goes to wrong way on calls i never meet her. I want to get married but us me abh time hai and want to do Muttah but me bh sakt sharten hai. Girl is independent wu job karti hai khud akely bahr aana jana. Meny ek aur ulma say pocha she says k agr zinna me mubtla hony ka shak ho ya zinna hojati hai to in conditions me Baap daada ki ijazat zarori nh Nikkah e Muttah kar sakty hain.

Ijazat ehtyaatn hai. Aapp is kay bary me kya kahengy

Jo Islami shariyat hamen shadi ke liye nikah ya Mut’a ka hukm deti hai usi Shariat ne eh bhi kaha hai ke Larki ka nikah ya Mut’a main uske wali (guardian) ki ijazat zaroori hai. Yahan exception us soorat main hai jab larki divorced ho ya widow ho aur agar virgin hai magar uska walid ya dada zinda nahin hai aur unhone kisi ko uska sarparast nahin banaya hai aur woh apne faisle khud karti ho aur kisi ki guardianship main na rahti ho to uske liye wali ki ijazat shart nahin hai.

Ab jis zina ke bachne ki baat aap kar rahe hain agar wali (guardian) ki ijazat ke beghair Mut’a ya nikah hota hai to woh sahi nahin hoga aur woh fir ek tarah hai zina hi hoga.

Islam ke according shadi main aane wali tama rukawaten aur rusumat ki koi haisiat nahin hai eh hamari khud ki banayee huee rasmen aur rules hain lehaza agar kisi ko shadi karna hai to use chahiye ke woh himmat dikhaye aur in tamam obstacles ko door kare aur shadi ko anjaam de.
Yahan tak ke Quran ki Ayat hai ke insan shadi main apne zariya e mash (sustenance) ki bhi parwah na kare balle Allah agar woh madar hai to apne Fazl se uske maldar bana dega. Lehaza eh tama mushkilat hamari khud ki banayee huee hain warna Deen ko simple rasta dikha raha hai magar hamne hi use complicated bana diya hai.