India ke wo products jis me gosht waighara shamil nahi hota jaise biscuits oil rice aata sweets etc aur dosre products cream shampo saboon etc ye sab ka istemal jaiz hai?
Kia ye sab tahir aur paak shumar honnge ya najis kyunke India ki taqreban sab companies kafir hai aur kaam karne walay bhi kafir hi hai so yaqeenan unke hath lagay honge.

Hamare marajea aur mujtahedin ne packing chizo ko kharidne ki ijazat di hy. Is lehaz se kha pi sakte hy.
Dusri baat k India me 15 se 20 % log musalman rehte hy to yeh bhi guman kiya jasakta hy k kisi musalman ka hath laga hoga. Kyun k compony me kaam karne wale mix hote hy.
Tisri chiz k aaj ki technology me aksar chizo me haath laganeki jarurat hi nahi padti sab machin tayyar karti hy.
Is lehaz se bhi koi mushkil nahi hy.