Jab hum namaz e istaghasa parhte hain Namaz e isteghasa Bibi Sayyeda(s. a) tou namaz to Khuda ke liye hoti hai sirf. Usme hum hajat talab karte hain Bibi se.
Kia hum Bibi ke wasiley se Khuda se talab karte hain?
Lekin Hum to ye jaante hain ke Masumeen(a.s) ko aur Hazrat Abbas(a.s) ko aur baaki Babul Hawaij(a.s) ko Khuda ne ikhtiyaar diya hai.
Tou phir hum kaise manage. In hastiyon ko waseela bana ke Khuda se ya inhi hastiyon se?

Khuda ne Khud Quran me sura e Mayeda ayat 35 me wasela akhtiyar dene ka hukm diya hai. Bahot achi tarah se aap ne sawal me hi jawab namaz e isteghasa ke hawale se dediya hai
Hum ahle bait as ke waste se Khuda se mange jis tarah Hazrat Adam as ne dua ki tu Mahmood hai Hazrat Mohammed saw ka wasta Aala hai Hazrat Ali as ka wasta is tarah Panjtan ka wasta diya
Kareem duaon ko qubool farmaye
Hajaat ko pura farmaye
Aameen