Jab hum ziyaraton pe gaye thay to wahan ek nageenay walay ki dukaan thi wo dukaandar hamara naam aur walida ke naam se kuch calculations karke hamara star batata tha ye star daily horoscope se alag tha and hamari general characteristics bata deta tha…aur jo batata tha wo sahi hota tha..phir hamey jo pathar pehenney chahiye hain and jo surah ziada parhni chahiye hain wo batata tha…kia in sab baaton pe yaqeen karna theek hai?
Nahi is par yaqeen jayez nahi hai Waise Aqeeq Firoza Aur Durre najaf in paththaron ko paheniye kisi cancelation ya stars ko dekhne ki zaroorat nahi hai