Rule ye hai ki jab aap namaz e jama'at me shirkat karte hain to pahli aur doosri rak'at me Imam e Jama'at jo sure padhte hain wo peeche namaz padhne wale sare momeneen ke liye kafi hote hain aur un par suron ke khud se padhne ka fareeza khatm ho jata hai. Uski jagah aap koi doosra zikr jaise subhan Allah etc repeat kar sakte hain ya phir silent bhi rah sakte hain. Lekin koi Surah na padhen.